Wednesday, December 18, 2013

Farishta

Kaash aisi koi sahuliat,
zindagi insaa ko deti,
jhukte ho jab kandhe,
sandesa bhijwa deti,
door se tezi se daudta,
aata ek chota sa baccha,
laghuroop sidhaare,
wo hota koi farishta,
dono haatho se samet ke housla,
kandho pe laad deta,
jhukte kandho ko hota aabhas,
insaa ko milti shakti, sthirta.

Par insaan ka jeevan toh hai,
gehri saason vaali kuch palon ki ladi,
aisi suvidha insaan ko,
prakruti se toh nahi mili,
parr mili hai zaroor,
ek aatma,
jisme mein baitha hai,
ummeedon ka farishta,
buss mann laga ke pukaarna,
daudta aayega wo baccha,
dono haatho mein samete,
taakat, himmat, ichcha.

No comments: